seedhi saadhi, bholi bhaali
khud mein khoyi rahtee huin
dil se dosti rakhtee huin
haste gaate rahtee huin.
thodi si gussa , thodi si naadani
thodi si shararat,thodi si sundarta
lekar apne sang sang
aage badtee rahtee huin
aashaaoonse bhari dil mein
sundarsee yaadein sajaakar
khamooshi ko pehchaan banaakar
aage badte rahtee huin
na poocho kya socchti rahtee hain meri yeh dil
na jaane kiski hain ee intezaar zindagi ko
shaayad use paaneki
jo bansake humsafar Is zindagi kaa.


No comments:
Post a Comment